Ransomware Ek Viruse He Jise Hacker's Computer Pe Attack Karte He Or Use Computer Ki Sari Data Lock Ho Jati He Or Screen Pe warning Show Hoti He. Us warning Me Bataya Jata He Ke Aapka Pc Lock Ho Gaya He Agar Aapko wapis Apne Data Chaiye Toah kuch Dollours Pay Kare Fir Aapki Data wapis Mil Jayegi. Yeah Demand Hacker's Karte He Jisne Reasomware Attack Kiya He, wo Kitne Bhi Dollars Mang Sakte He 300$, 500$ 1000$... Yaha Koi Bhi Safety Nahi He Ke Aapki Data Wapis Mil He Jayegi. Aisa Bhi hota He Ke Aap Ek Baar Pay Kar De To Fir Se Or Demand Ki Jati He So Agar Koi Bahut He Important Data He Toah use wapis Pane Ke Liye Bahut Jyada $ Pay Karne Padege Fir Bhi Is Me Koi Safety Nahi He. So Yeah He Rensomeware Attack.
Hacker's Bitcoin Ke Dimand Karte He Kyoki Agar Aapk $ Pay Karoge Toah Us Pe Text Lagta He Or Kisi wajah Se Hacker's Pakde bhi Jate He. So Bitcoin transaction se hackers ko Safety Rahti He Lakin Aapko Sayad Pata na Ho ke 1 Bitcoin =1500$ Something Hote He !! Yaha Dimand $ Pe Ke Jati He But use Bitcoin Me Pay Karna padta He. Ex. Agar hackers 1500$ Ki Dimand Karte He toah 1 Bitcoin Pay Karna Padta so yeah He Rensomeware Payment Method.
Ransomware Attack Direct Network Me Attack Kar Ke Kiya Ja Sakta He. Koi Bhi Link Ke Throw Yeah Virus Bheja Ja Sakta He. Wi-Fi Network Pe Attack Kar Ke Rensomeware Ko Pure wifi Network Me Falya Jata He Jise Us Wi-Fi Se Jitne Bhi Computers, Mobail Connected He Un Sab Pe Rensomeware Virus Effect Karta He
Ransomware Virus Ka Attack Kisi Pe Bhi Ho Sakta He. Hacker's Kahi Se Bhi Pc Pe Attack Kar Sakte He. Abhi Kuch Days Se Yeah Attack Ne Kafi Nuksan Kiya He or pure world Me Bahut Se Computers Lock Ho Chuke He. 100+ country ko Hacker's Ne Target Kiya He. Hacker's Jyada Badi Company's, Governments Office Etc Pe Attack Karte He But Yaha Koi Bhi Computers, Smartphone, ATM Or Digital Transaction Safe Nahi He. !!